kaha kisi ne ki hai chhalawa kisi ne tashbih di pari se
kahā kisī ne ki hai chhalāvā kisī ne tashbīh dī parī se
vo aaj mahfil meñ jalva-ārā hue haiñ is shān-e-dilbarī se
koī ishāra na kuchh kināya kahī hai ik baat sādgī se
abhī ho nādāñ nasīb-e-ā’dā kahīñ uThāo na zak kisī se
nahīñ ki dil āshnā nahīñ hai rumūz-o-ādāb-e-'āshiqī se
kuchh is meñ tark-e-vafā nahīñ hai uThā.eñ gar haath zindagī se
liyā kaf-e-pā kā maiñ ne bosa kuchh is meñ tark-e-adab nahīñ thā
chalo haTāo qusūr merā ḳhatā bhī hotī hai aadmī se
marīz kā ab laboñ pe dam hai shifā kī ummīd is kī kam hai
jo ab bhī aao baḌā karam hai ki saañs haiñ chand āḳhirī se
nahīñ bhale un ke taur ye bhī koī balā hogī aur ye bhī
na ho koī tarz-e-jaur ye bhī ki aa ga.e baaz kajravī se
baḌā hī pur-lutf hogā manzar kareñge us dam salām jhuk kar
ki dekhte hoge pesh-e-dāvar hameñ pashemāñ se multajī se
milegā aġhyār ko bahāna uThā.egā uñgliyāñ zamāna
jinheñ hai pās-e-vafā ye maanā vo muñh na moḌeñge bandagī se
savāl saa.il kā yuuñ na moḌo javāb se us kā dil na toḌo
dil-e-shikasta ko balki joḌo tum apne altāf-e-khusravī se
sunā.eñ kyā mājrā-e-ulfat hai ek 'ālam meñ us kī shohrat
tumhāre jalve hamārī vahshat haiñ dīdanī se shanīdanī se
'ajīb hai rog 'āshiqī kā kare bhī koī to kyā mudāvā
na 'ḳhār' aisā marīz dekhā taḌap uThe dard kī kamī se
kaha kisi ne ki hai chhalawa kisi ne tashbih di pari se
wo aaj mahfil mein jalwa-ara hue hain is shan-e-dilbari se
koi ishaara na kuchh kinaya kahi hai ek baat sadgi se
abhi ho nadan nasib-e-a’da kahin uThao na zak kisi se
nahin ki dil aashna nahin hai rumuz-o-adab-e-'ashiqi se
kuchh is mein tark-e-wafa nahin hai uThaen gar hath zindagi se
liya kaf-e-pa ka main ne bosa kuchh is mein tark-e-adab nahin tha
chalo haTao qusur mera KHata bhi hoti hai aadmi se
mariz ka ab labon pe dam hai shifa ki ummid is ki kam hai
jo ab bhi aao baDa karam hai ki sans hain chand aaKHiri se
nahin bhale un ke taur ye bhi koi bala hogi aur ye bhi
na ho koi tarz-e-jaur ye bhi ki aa gae baz kajrawi se
baDa hi pur-lutf hoga manzar karenge us dam salam jhuk kar
ki dekhte hoge pesh-e-dawar hamein pasheman se multaji se
milega aghyar ko bahana uThaega ungliyan zamana
jinhen hai pas-e-wafa ye mana wo munh na moDenge bandagi se
sawal sail ka yun na moDo jawab se us ka dil na toDo
dil-e-shikasta ko balki joDo tum apne altaf-e-khusrawi se
sunaen kya majra-e-ulfat hai ek 'alam mein us ki shohrat
tumhaare jalwe hamari wahshat hain didani se shanidani se
'ajib hai rog 'ashiqi ka kare bhi koi to kya mudawa
na 'KHar' aisa mariz dekha taDap uThe dard ki kami se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.