kahan main kahan ho tum
kahāñ maiñ kahāñ ho tum
javāb aayā jahāñ ho tum
mire jīvan se zāhir ho
mire ġham meñ nihāñ ho tum
mirī to saarī duniyā ho
mirā saarā jahāñ ho tum
mirī sochoñ ke mehvar ho
mirā zor-e-bayāñ ho tum
maiñ to lafz-e-mohabbat huuñ
magar merī zabāñ ho tum
kahan main kahan ho tum
jawab aaya jahan ho tum
mere jiwan se zahir ho
mere gham mein nihan ho tum
meri to sari duniya ho
mera sara jahan ho tum
meri sochon ke mehwar ho
mera zor-e-bayan ho tum
main to lafz-e-mohabbat hun
magar meri zaban ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.