kaha na kuchh bhi daba di gai meri aawaz
kahā na kuchh bhī dabā dī ga.ī mirī āvāz
uḌā na thā ki shikasta hue par-e-parvāz
ajiib qaid meñ dam hai ye kaisā jiinā hai
ki zindagī huī jaatī hai maut kī ġhammāz
taḌap taḌap ke sar-e-dār mar gayā koī
hayāt kahiye ki marne hī kā hai ik andāz
jigar kā soz mayassar nahīñ to kuchh bhī nahīñ
jigar ke soz se sāz-e-hayāt bā-āvāz
koī salīb pe kyā soch ke laTaktā hai
masīh-e-vaqt se pūchhe zarā koī ye raaz
firāq-e-yār meñ har lamha zindagī hai azaab
darāz silsila-e-zīst hai bahut hī darāz
ġham-e-hayāt ne shā.ir banā diyā 'ḳhurshīd'
vagarna maiñ kahāñ aur shā.irī kā ye e.azāz
kaha na kuchh bhi daba di gai meri aawaz
uDa na tha ki shikasta hue par-e-parwaz
ajib qaid mein dam hai ye kaisa jina hai
ki zindagi hui jati hai maut ki ghammaz
taDap taDap ke sar-e-dar mar gaya koi
hayat kahiye ki marne hi ka hai ek andaz
jigar ka soz mayassar nahin to kuchh bhi nahin
jigar ke soz se saz-e-hayat ba-awaz
koi salib pe kya soch ke laTakta hai
masih-e-waqt se puchhe zara koi ye raaz
firaq-e-yar mein har lamha zindagi hai azab
daraaz silsila-e-zist hai bahut hi daraaz
gham-e-hayat ne shair bana diya 'KHurshid'
wagarna main kahan aur shairi ka ye eazaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.