kaha tha humne tujhe to ai dil ki chah ki mai ko tu na pina
kaha tha humne tujhe to ai dil ki chah ki mai ko tu na pina
Nazeer Akbarabadi
MORE BYNazeer Akbarabadi
kahā thā ham ne tujhe to ai dil ki chaah kī mai ko tū na piinā
jo is ko pī kar tū aisā bahkā ki ham ko mushkil huā hai jiinā
jo āñkheñ chanchal kī dekheñ ham ne to nok-e-mizhgāñ ne dil ko chedā
nigah ne hosh-o-ḳhirad ko luuTā adā ne sabr-o-qarār chhīnā
kahā jo ham ne ki aan lagiye hamāre siine se is dam ai jaañ
to sun ke us ne hayā kī aisī ki aayā muñh par vahīñ pasīna
kiyā hai ġhussa meñ haath lā kar mirā garebāñ jo TukḌe us ne
phaTā hī rahnā hai ab to behtar nahīñ munāsib kuchh is ko siinā
kahā thā ā.ūñgā do hī din meñ vale na aayā vo shoḳh ab tak
ginā jo ham ne 'nazīr' dil meñ to us suḳhan ko huā mahīna
kaha tha hum ne tujhe to ai dil ki chah ki mai ko tu na pina
jo is ko pi kar tu aisa bahka ki hum ko mushkil hua hai jina
jo aankhen chanchal ki dekhen hum ne to nok-e-mizhgan ne dil ko cheda
nigah ne hosh-o-KHirad ko luTa ada ne sabr-o-qarar chhina
kaha jo hum ne ki aan lagiye hamare sine se is dam ai jaan
to sun ke us ne haya ki aisi ki aaya munh par wahin pasina
kiya hai ghussa mein hath la kar mera gareban jo TukDe us ne
phaTa hi rahna hai ab to behtar nahin munasib kuchh is ko sina
kaha tha aaunga do hi din mein wale na aaya wo shoKH ab tak
gina jo hum ne 'nazir' dil mein to us suKHan ko hua mahina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.