kaha tha tum se na pyar karna wahi kiya na
kahā thā tum se na pyaar karnā vahī kiyā nā
na lafz bunñā na sher kahnā vahī kiyā nā
ye terā ḳhuuñ tak nichoḌ leñge kahā thā tujh se
na surḳh phūloñ ke paas jaanā vahī kiyā nā
kahā thā tohfe ḳhutūt saare chhupā ke rakhnā
kahā thā sab ko na ye dikhānā vahī kiyā nā
kahā thā chāhat se duur rahnā ye maar degī
kahā thā dil kī na ek sunñā vahī kiyā nā
parind tum par hañsā kareñge kahā thā tum se
na tum daraḳhtoñ pe naam likhnā vahī kiyā nā
ye TuuT jaa.eñ to saañs lenā muhāl Thahre
kahā thā tum se na ḳhvāb bunñā vahī kiyā nā
kahā thā bātoñ meñ tez hai vo sañbhal ke rahnā
na us kā hargiz yaqīn karnā vahī kiyā naañ
zahīn to ho magar zamāna-shanās kam ho
tumheñ kahā thā na ishq karnā vahī kiyā nā
luTā piTā hai fareb degā ḳhayāl karnā
kabhī na 'dānish' kī baat sunñā vahī kiyā nā
kaha tha tum se na pyar karna wahi kiya na
na lafz bunna na sher kahna wahi kiya na
ye tera KHun tak nichoD lenge kaha tha tujh se
na surKH phulon ke pas jaana wahi kiya na
kaha tha tohfe KHutut sare chhupa ke rakhna
kaha tha sab ko na ye dikhana wahi kiya na
kaha tha chahat se dur rahna ye mar degi
kaha tha dil ki na ek sunna wahi kiya na
parind tum par hansa karenge kaha tha tum se
na tum daraKHton pe nam likhna wahi kiya na
ye TuT jaen to sans lena muhaal Thahre
kaha tha tum se na KHwab bunna wahi kiya na
kaha tha baaton mein tez hai wo sanbhal ke rahna
na us ka hargiz yaqin karna wahi kiya nan
zahin to ho magar zamana-shanas kam ho
tumhein kaha tha na ishq karna wahi kiya na
luTa piTa hai fareb dega KHayal karna
kabhi na 'danish' ki baat sunna wahi kiya na
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.