kaha usne main hun tanha udhar sara zamana hai
kahā us ne maiñ huuñ tanhā udhar saarā zamāna hai
kahā maiñ ne zamāna har tarah kā biit jaanā hai
kahā us ne ki tum bhī aur logoñ kī tarah se ho
kahā maiñ ne tumhārā hausla bhī āzmānā hai
kahā us ne ki ab tak rāste mahfūz the lekin
kahā maiñ ne isī lekin kā to saarā fasāna hai
kahā us ne ki mere ḳhvāb meñ tum saath the mere
kahā maiñ ne ki ḳhvāboñ ko haqīqat bhī banānā hai
kahā us ne ki dekho zulmatoñ kā saath mat denā
kahā maiñ ne havāoñ meñ diyā rakh kar jalānā hai
kahā us ne ki manzil aur kitnī duur hai 'anvar'
kahā maiñ ne hameñ is dhuñd kai us paar jaanā hai
kaha us ne main hun tanha udhar sara zamana hai
kaha main ne zamana har tarah ka bit jaana hai
kaha us ne ki tum bhi aur logon ki tarah se ho
kaha main ne tumhaara hausla bhi aazmana hai
kaha us ne ki ab tak raste mahfuz the lekin
kaha main ne isi lekin ka to sara fasana hai
kaha us ne ki mere KHwab mein tum sath the mere
kaha main ne ki KHwabon ko haqiqat bhi banana hai
kaha us ne ki dekho zulmaton ka sath mat dena
kaha main ne hawaon mein diya rakh kar jalana hai
kaha us ne ki manzil aur kitni dur hai 'anwar'
kaha main ne hamein is dhund kai us par jaana hai
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.