kaha ye kis ne mujhe zindagi se pyar nahin
kahā ye kis ne mujhe zindagī se pyaar nahīñ
ye aur baat hai hālāt ḳhush-gavār nahīñ
bisāt hī to hai kyā jaane kab ulaT jaa.e
yahāñ pyāda-o-farzīñ kā e'tibār nahīñ
jahāñ jahāñ nazar uTThī vahāñ vahāñ tū thā
kahāñ kahāñ tire jalvoñ kā intishār nahīñ
vo kyā kisī kī nigāhoñ pe e'tibār kare
jise ḳhud apnī nigāhoñ pe e'tibār nahīñ
fusūñ-shanās huuñ maiñ rañg-o-bū samajhtā huuñ
fareb-ḳhurda-e-rañgīnī-e-bahār nahīñ
nahīñ hai koī bhī shai qabza-e-tasarruf meñ
kisī bhī chiiz pe insāñ ko iḳhtiyār nahīñ
dam-e-habāb navāzish kī is qadar bārish
gunāhgār bhī jaise gunāhgār nahīñ
nazar kā kyā hai bahak bhī ga.ī hai ye aksar
hamārā dāman-e-dil hai ki dāġhdār nahīñ
abhī to kashmakash-e-dār-o-gīr baaqī hai
abhī hayāt kā māhaul sāzgār nahīñ
mirī ravish hai alag 'tāj' merā zauq judā
adab ko bech ke jiinā merā shu.ūr nahīñ
kaha ye kis ne mujhe zindagi se pyar nahin
ye aur baat hai haalat KHush-gawar nahin
bisat hi to hai kya jaane kab ulaT jae
yahan pyaada-o-farzin ka e'tibar nahin
jahan jahan nazar uTThi wahan wahan tu tha
kahan kahan tere jalwon ka intishaar nahin
wo kya kisi ki nigahon pe e'tibar kare
jise KHud apni nigahon pe e'tibar nahin
fusun-shanas hun main rang-o-bu samajhta hun
fareb-KHurda-e-rangini-e-bahaar nahin
nahin hai koi bhi shai qabza-e-tasarruf mein
kisi bhi chiz pe insan ko iKHtiyar nahin
dam-e-habab nawazish ki is qadar barish
gunahgar bhi jaise gunahgar nahin
nazar ka kya hai bahak bhi gai hai ye aksar
hamara daman-e-dil hai ki daghdar nahin
abhi to kashmakash-e-dar-o-gir baqi hai
abhi hayat ka mahaul sazgar nahin
meri rawish hai alag 'taj' mera zauq juda
adab ko bech ke jina mera shuur nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.