kaha ye maine ki apni aankhon mein KHwab rakhna
kahā ye maiñ ne ki apnī āñkhoñ meñ ḳhvāb rakhnā
kahā ye us ne ki aañkh rakhnā 'azāb rakhnā
ye maiñ ne pūchhā thā log kyuuñ mar rahe haiñ itne
javāb aayā tum un ke ḳhuuñ kā hisāb rakhnā
kahā ye maiñ ne zamīn par amn ho sakegā
kahā ki hāthoñ meñ alam rakhnā kitāb rakhnā
kahā ye maiñ ne ki zindagī kis tarah kaTegī
kahā ye us ne ki chāhatīñ be-hisāb rakhnā
kahā ye maiñ ne havā.eñ haiñ tund-o-tez kitnī
vo hañs ke bolī ki kashtiyāñ zer-e-āb rakhnā
kahā ye us ne ki dā.ere se nikal ke dekheñ
kahā ki pahle koī safar intiḳhāb rakhnā
kahā ye us ne ki bhiiḌ meñ ham bichhaḌ na jaa.eñ
kahā ki juuḌe meñ ek taaza gulāb rakhnā
kahā ye us ne ki ham agar sach kā saath deñ to
kahā ye maiñ ne ki sahne kī taab rakhnā
kaha ye main ne ki apni aankhon mein KHwab rakhna
kaha ye us ne ki aankh rakhna 'azab rakhna
ye main ne puchha tha log kyun mar rahe hain itne
jawab aaya tum un ke KHun ka hisab rakhna
kaha ye main ne zamin par amn ho sakega
kaha ki hathon mein alam rakhna kitab rakhna
kaha ye main ne ki zindagi kis tarah kaTegi
kaha ye us ne ki chahatin be-hisab rakhna
kaha ye main ne hawaen hain tund-o-tez kitni
wo hans ke boli ki kashtiyan zer-e-ab rakhna
kaha ye us ne ki daere se nikal ke dekhen
kaha ki pahle koi safar intiKHab rakhna
kaha ye us ne ki bhiD mein hum bichhaD na jaen
kaha ki juDe mein ek taza gulab rakhna
kaha ye us ne ki hum agar sach ka sath den to
kaha ye main ne ki sahne ki tab rakhna
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.