kahan ab wo pine pilane ki baaten
kahāñ ab vo piine pilāne kī bāteñ
vo saaqī nahīñ hai vo mahfil nahīñ hai
haiñ dāman ke TukḌe mire paañv meñ ab
mujhe ehtiyāj-e-salāsil nahīñ hai
ye chehra tirā saaf jitnā hai kāfir
tirā saaf utnā magar dil nahīñ hai
bhulā de mujhe laakh tū apne dil se
magar merā dil tujh se ġhāfil nahīñ hai
shanāsā huuñ terā maiñ roz-e-azal se
koī darmiyāñ parda haa.il nahīñ hai
samajhnā mohabbat ko mushkil hai 'jauhar'
samajh le jo koī to mushkil nahīñ hai
kahan ab wo pine pilane ki baaten
wo saqi nahin hai wo mahfil nahin hai
hain daman ke TukDe mere panw mein ab
mujhe ehtiyaj-e-salasil nahin hai
ye chehra tera saf jitna hai kafir
tera saf utna magar dil nahin hai
bhula de mujhe lakh tu apne dil se
magar mera dil tujh se ghafil nahin hai
shanasa hun tera main roz-e-azal se
koi darmiyan parda hail nahin hai
samajhna mohabbat ko mushkil hai 'jauhar'
samajh le jo koi to mushkil nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.