kahan anjam ki taswir us nadan ke aage
kahāñ anjām kī tasvīr us nādān ke aage
banā.e ret kī dīvār jo tūfān ke aage
havādis kā tasalsul yūñhī rahtā hai zamāne meñ
kisī kī jaan ke pīchhe kisī kī jaan ke aage
sitāre Dhāltī haiñ tarbiyat-gāheñ tamaddun kī
to phir kyoñ zindagī be-nūr hai insān ke aage
lahū meñ Duub kar jab ik navā-e-jāñ-fazā niklī
hazāroñ saaz sākit ho ga.e us taan ke aage
ye vo daur-e-taġhayyur hai ki jis meñ ḳhil.at-e-shāhī
nigūñ sar hai shikasta chādaroñ kī shaan ke aage
tire qadmoñ se nisbat jin ko hai vo sar jhukeñ kyūñkar
kisī maġhrūr ke dar par kisī sultān ke aage
hamārī hī nazar parvarda hai vo be-amāñ bijlī
kaḌaktī hai jo har fir.aun-e-be-sāmān ke aage
nikhārā ho jise ahl-e-hunar ne apnā ḳhuuñ de kar
vo fan be-rang kyā hotā kisī bohrān ke aage
zamāna sard kar degā 'adīb' in shola-zāroñ ko
na.ī duniyā kī jannat hai na.e insān ke aage
kahan anjam ki taswir us nadan ke aage
banae ret ki diwar jo tufan ke aage
hawadis ka tasalsul yunhi rahta hai zamane mein
kisi ki jaan ke pichhe kisi ki jaan ke aage
sitare Dhaalti hain tarbiyat-gahen tamaddun ki
to phir kyon zindagi be-nur hai insan ke aage
lahu mein Dub kar jab ek nawa-e-jaan-faza nikli
hazaron saz sakit ho gae us tan ke aage
ye wo daur-e-taghayyur hai ki jis mein KHilat-e-shahi
nigun sar hai shikasta chadaron ki shan ke aage
tere qadmon se nisbat jin ko hai wo sar jhuken kyunkar
kisi maghrur ke dar par kisi sultan ke aage
hamari hi nazar parwarda hai wo be-aman bijli
kaDakti hai jo har firaun-e-be-saman ke aage
nikhaara ho jise ahl-e-hunar ne apna KHun de kar
wo fan be-rang kya hota kisi bohran ke aage
zamana sard kar dega 'adib' in shola-zaron ko
nai duniya ki jannat hai nae insan ke aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.