kahan dam legi apni hasrat-e-didar kya jaane
kahāñ dam legī apnī hasrat-e-dīdār kyā jaane
chhalak jā.egā kab ye sāġhar-e-sarshār kyā jaane
mohabbat vo kahānī hai jo hoñToñ tak nahīñ aatī
vafā kī ḳhāmushī hangāma-e-guftār kyā jaane
jo pahle hī qadam par baiTh jaa.e toḌ kar himmat
vo tan-āsāñ taqāzā-e-rah-e-dushvār kyā jaane
nahīñ zebā hadīs-e-dāvat-e-mansūr ai 'shāriq'
ki is daur-e-havas meñ koī rasm-e-dār kyā jaane
kahan dam legi apni hasrat-e-didar kya jaane
chhalak jaega kab ye saghar-e-sarshaar kya jaane
mohabbat wo kahani hai jo honTon tak nahin aati
wafa ki KHamushi hangama-e-guftar kya jaane
jo pahle hi qadam par baiTh jae toD kar himmat
wo tan-asan taqaza-e-rah-e-dushwar kya jaane
nahin zeba hadis-e-dawat-e-mansur ai 'shaariq'
ki is daur-e-hawas mein koi rasm-e-dar kya jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.