kahan dard-e-dil ki dawa chahti hun
kahāñ dard-e-dil kī davā chāhtī huuñ
mohabbat meñ honā fanā chāhtī huuñ
dikhā de jo chehre ke pīchhe kā chehra
maiñ aisā koī aa.ina chāhtī huuñ
tarāshā nahīñ hai tujhe maiñ ne yuuñ hī
banānā maiñ tujh ko ḳhudā chāhtī huuñ
nahīñ chāhtī maiñ sivā is ke kuchh bhī
agar de sako to vafā chāhtī huuñ
sazā jis kī kaaTī hai tā-umr maiñ ne
'sikhar' jānñā vo ḳhatā chāhtī huuñ
kahan dard-e-dil ki dawa chahti hun
mohabbat mein hona fana chahti hun
dikha de jo chehre ke pichhe ka chehra
main aisa koi aaina chahti hun
tarasha nahin hai tujhe main ne yun hi
banana main tujh ko KHuda chahti hun
nahin chahti main siwa is ke kuchh bhi
agar de sako to wafa chahti hun
saza jis ki kaTi hai ta-umr main ne
'sikhar' jaanna wo KHata chahti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.