kahan dhuan hai kahan ghar samajh mein aaega
kahāñ dhuāñ hai kahāñ ghar samajh meñ aa.egā
havā chalegī to manzar samajh meñ aa.egā
talāsh-e-gauhar-e-nāyāb sat.h par kyoñ hai
bhañvar meñ utro samundar samajh meñ aa.egā
abhī se tabsira shaḳhsiyyatoñ pe Thiik nahīñ
ho guftugū to suḳhanvar samajh meñ aa.egā
har ek ḳhvāb na.ī sub.h kī amānat hai
kar intizār muqaddar samajh meñ aa.egā
muqāble kī ghaḌī aa ga.ī zarā Thahro
vo daarā hai ki sikandar samajh meñ aa.egā
'zamīr' bhiiḌ meñ chehroñ kā jā.eza liije
kahāñ se aayā hai patthar samajh meñ aa.egā
kahan dhuan hai kahan ghar samajh mein aaega
hawa chalegi to manzar samajh mein aaega
talash-e-gauhar-e-nayab sath par kyon hai
bhanwar mein utro samundar samajh mein aaega
abhi se tabsira shaKHsiyyaton pe Thik nahin
ho guftugu to suKHanwar samajh mein aaega
har ek KHwab nai subh ki amanat hai
kar intizar muqaddar samajh mein aaega
muqable ki ghaDi aa gai zara Thahro
wo dara hai ki sikandar samajh mein aaega
'zamir' bhiD mein chehron ka jaeza lije
kahan se aaya hai patthar samajh mein aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.