kahan din raat mein rakkha hua hun
kahāñ din raat meñ rakkhā huā huuñ
ajab hālāt meñ rakkhā huā huuñ
ta.alluq hī nahīñ hai jin se merā
maiñ un ḳhadshāt meñ rakkhā huā huuñ
kabhī aatā nahīñ thā haath apne
ab apne haath meñ rakkhā huā huuñ
zarā bhī rah nahīñ saktā huuñ jin meñ
maiñ un jazbāt meñ rakkhā huā huuñ
jalā.e kis tarah ye dhuup mujh ko
kahīñ barsāt meñ rakkhā huā huuñ
ḳhamoshī kah rahī hai 'shāz' us kī
maiñ us kī baat meñ rakkhā huā huuñ
kahan din raat mein rakkha hua hun
ajab haalat mein rakkha hua hun
talluq hi nahin hai jin se mera
main un KHadshat mein rakkha hua hun
kabhi aata nahin tha hath apne
ab apne hath mein rakkha hua hun
zara bhi rah nahin sakta hun jin mein
main un jazbaat mein rakkha hua hun
jalae kis tarah ye dhup mujh ko
kahin barsat mein rakkha hua hun
KHamoshi kah rahi hai 'shaz' us ki
main us ki baat mein rakkha hua hun
- Book : khamoshi ki khidkii se (Pg. 89)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.