kahan duniya se laDna hai kahan KHud se baghawat hai
kahāñ duniyā se laḌnā hai kahāñ ḳhud se baġhāvat hai
use samjhā rahā huuñ jo mohabbat kī rivāyat hai
hazāroñ dukh uThātā huuñ hazāroñ zaḳhm khātā huuñ
magar jaatī nahīñ ye muskurāne kī jo aadat hai
jahāñ par jab bhī jī chāhe zamīñ par baiTh jaatā huuñ
ki mere jism kī miTTī ko miTTī se mohabbat hai
maiñ apne gaañv ke sab khet-khāle yaad rakhtā huuñ
na-jāne shahr meñ rahte hue ye kaisī aadat hai
hameñ kuchh is liye bhī umr bhar ab saath rahnā hai
tujhe merī zarūrat hai mujhe terī zarūrat hai
zamīñ par paañv rakh kar koī chaltā hī nahīñ 'nāsir'
nahīñ ma.alūm is duniyā meñ kis ko kitnī ujlat hai
kahan duniya se laDna hai kahan KHud se baghawat hai
use samjha raha hun jo mohabbat ki riwayat hai
hazaron dukh uThata hun hazaron zaKHm khata hun
magar jati nahin ye muskurane ki jo aadat hai
jahan par jab bhi ji chahe zamin par baiTh jata hun
ki mere jism ki miTTi ko miTTi se mohabbat hai
main apne ganw ke sab khet-khaale yaad rakhta hun
na-jaane shahr mein rahte hue ye kaisi aadat hai
hamein kuchh is liye bhi umr bhar ab sath rahna hai
tujhe meri zarurat hai mujhe teri zarurat hai
zamin par panw rakh kar koi chalta hi nahin 'nasir'
nahin malum is duniya mein kis ko kitni ujlat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.