kahan ehsan meri zat par taqdir ka hoga
kahāñ ehsān merī zaat par taqdīr kā hogā
huā gar kuchh mire haq meñ sila tadbīr kā hogā
mirī har shab guzar jaatī hai aksar is tamanna meñ
koī to ḳhvāb merī is na.ī ta.abīr kā hogā
buzurgoñ kā bhī saaya ab to sar se chhin gayā apne
ki ye bhī hādisa likkhā mirī taqdīr kā hogā
sabhī aurāq kahne ko to ham ne kar liye haiñ pur
tum aao to izāfa ik na.ī tahrīr kā hogā
dilāsa donoñ jānib se na.ī nasloñ ko miltā hai
na jaane mas.ala kab hal magar kashmīr kā hogā
vo jin bātoñ se ab tak munharif hote rahe 'saifī'
vahī unvāñ hamārī aaj phir taqrīr kā hogā
kahan ehsan meri zat par taqdir ka hoga
hua gar kuchh mere haq mein sila tadbir ka hoga
meri har shab guzar jati hai aksar is tamanna mein
koi to KHwab meri is nai tabir ka hoga
buzurgon ka bhi saya ab to sar se chhin gaya apne
ki ye bhi hadisa likkha meri taqdir ka hoga
sabhi auraq kahne ko to hum ne kar liye hain pur
tum aao to izafa ek nai tahrir ka hoga
dilasa donon jaanib se nai naslon ko milta hai
na jaane masala kab hal magar kashmir ka hoga
wo jin baaton se ab tak munharif hote rahe 'saifi'
wahi unwan hamari aaj phir taqrir ka hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.