kahan hai aisi zamin jis pe aasman na ho
kahāñ hai aisī zamīñ jis pe āsmān na ho
vo kaisā shahr jahāñ ek bhī makān na ho
hamāre dasht ne itnā to intizām rakkhā
saroñ pe dhuup rahe koī sā.ebān na ho
dil-o-dimāġh kī uljhan meñ ye kahāñ mumkin
ki zehn-o-dil to thakeñ ruuh ko thakān na ho
ḳhud apnī piiTh to ham thapthapā nahīñ sakte
hameñ hai ḳhauf ki bejā koī gumān na ho
maiñ ḳhvāb dekh rahā huuñ is ehtiyāt ke saath
itāb-e-sub.h se sapnā lahū-luhān na ho
zamīñ se duur chale aa.e haiñ magar 'bebāk'
duā karo ki yahīñ ḳhatm ye uḌaan na ho
kahan hai aisi zamin jis pe aasman na ho
wo kaisa shahr jahan ek bhi makan na ho
hamare dasht ne itna to intizam rakkha
saron pe dhup rahe koi saeban na ho
dil-o-dimagh ki uljhan mein ye kahan mumkin
ki zehn-o-dil to thaken ruh ko thakan na ho
KHud apni piTh to hum thapthapa nahin sakte
hamein hai KHauf ki beja koi guman na ho
main KHwab dekh raha hun is ehtiyat ke sath
itab-e-subh se sapna lahu-luhan na ho
zamin se dur chale aae hain magar 'bebak'
dua karo ki yahin KHatm ye uDan na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.