kahan hai wo gul-e-KHandan hamein nahin malum
kahan hai wo gul-e-KHandan hamein nahin malum
Pandit Jawahar Nath Saqi
MORE BYPandit Jawahar Nath Saqi
kahāñ hai vo gul-e-ḳhandāñ hameñ nahīñ ma.alūm
na pūchh bulbul-e-nālāñ hameñ nahīñ ma.alūm
firāq hī meñ basar ho ga.ī hamārī umr
hai kaun vasl se shādāñ hameñ nahīñ ma.alūm
hameñ to ek sadā-e-jaras hī aatī hai
huā hai kaun hudā-ḳhvāñ hameñ nahīñ ma.alūm
talāsh-e-ḳhizr tarīqat hai is liye sālik
kahāñ hai chashma-e-haivāñ hameñ nahīñ ma.alūm
talāsh-e-yār meñ 'sāqī' hue haiñ sar-gardāñ
kahāñ hai manzil-e-jānāñ hameñ nahīñ ma.alūm
kahan hai wo gul-e-KHandan hamein nahin malum
na puchh bulbul-e-nalan hamein nahin malum
firaq hi mein basar ho gai hamari umr
hai kaun wasl se shadan hamein nahin malum
hamein to ek sada-e-jaras hi aati hai
hua hai kaun huda-KHwan hamein nahin malum
talash-e-KHizr tariqat hai is liye salik
kahan hai chashma-e-haiwan hamein nahin malum
talash-e-yar mein 'saqi' hue hain sar-gardan
kahan hai manzil-e-jaanan hamein nahin malum
- Book : Kulliyat-e-Saaqi (Pg. e-115 p-112)
- Author : Pandit Jawahar Nath Saqi
- Publication : Pandit Jawahar Nath Saqi (1926)
- Edition : 1926
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.