kahan hai zindagi bas mein hamare
kahāñ hai zindagī bas meñ hamāre
hai bas ye bebasī bas meñ hamāre
hamārā zor chaltā hai isī par
ki hai ye shā.irī bas meñ hamāre
agar ik chiiz par qaabū hai apnā
nahīñ phir dūsrī bas meñ hamāre
hamāre vāste ye bhī bahut hai
jo hai terī kamī bas meñ hamāre
use tā-umr ham rokeñ jo aa.e
kabhī vo sarsarī bas meñ hamāre
lubhā letī hai aksar dil ko 'nāmī'
hai ḳhvāboñ kī parī bas meñ hamāre
kahan hai zindagi bas mein hamare
hai bas ye bebasi bas mein hamare
hamara zor chalta hai isi par
ki hai ye shairi bas mein hamare
agar ek chiz par qabu hai apna
nahin phir dusri bas mein hamare
hamare waste ye bhi bahut hai
jo hai teri kami bas mein hamare
use ta-umr hum roken jo aae
kabhi wo sarsari bas mein hamare
lubha leti hai aksar dil ko 'nami'
hai KHwabon ki pari bas mein hamare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.