kahan hain maKHfi wo shahzade jiye jo mahlon ki shan ban kar
kahan hain maKHfi wo shahzade jiye jo mahlon ki shan ban kar
Syed Moinuddin Makhfi
MORE BYSyed Moinuddin Makhfi
kahāñ haiñ maḳhfī vo shāhzāde jiye jo mahloñ kī shaan ban kar
diloñ kī bastī basā na paa.e ga.e to ujḌā makān ban kar
har ek lamha hayāt kā ho charāġh-e-hubb-e-nabī se raushan
sanā-e-rab meñ hī niiñd aa.e uTho sahar kī azaan ban kar
hamārī urdu nabī kī arabī se mil ke shīr-o-shakar huī hai
yahāñ kī miTTī meñ ḳhāk-e-taiba basī hai momin kī jaan ban kar
ga.e kahāñ vo jiye jo haq par sadā-e-haq hai vafāt meñ bhī
hunūz ham sun rahe haiñ un ko ga.e jo haq kā bayān ban kar
vo shāḳh-e-gul jo qalam kī sūrat baḌhī thī aage jaḌeñ jamāne
pahuñch na paa.ī zamīn-e-dil tak anā ne rokā chaTān ban kar
hamāre bhārat ke saare netā agar siyāsat nabī se sīkheñ
chamak uThegā jahāñ meñ saare ye mulk sachchā mahān ban kar
yazīdiyat se muqābla hai husainī lashkar banā.e rakkho
ravāngī bhī misāl kī ho jiyo nabī ke javān ban kar
kisī ne 'maḳhfī' kiyā bharosa virāsatoñ kī hifāzatoñ kā
yaqīñ meñ mālik mujhe badal de marūñ na jhūTā gumān ban kar
kahan hain maKHfi wo shahzade jiye jo mahlon ki shan ban kar
dilon ki basti basa na pae gae to ujDa makan ban kar
har ek lamha hayat ka ho charagh-e-hubb-e-nabi se raushan
sana-e-rab mein hi nind aae uTho sahar ki azan ban kar
hamari urdu nabi ki arabi se mil ke shir-o-shakar hui hai
yahan ki miTTi mein KHak-e-taiba basi hai momin ki jaan ban kar
gae kahan wo jiye jo haq par sada-e-haq hai wafat mein bhi
hunuz hum sun rahe hain un ko gae jo haq ka bayan ban kar
wo shaKH-e-gul jo qalam ki surat baDhi thi aage jaDen jamane
pahunch na pai zamin-e-dil tak ana ne roka chaTan ban kar
hamare bhaarat ke sare neta agar siyasat nabi se sikhen
chamak uThega jahan mein sare ye mulk sachcha mahan ban kar
yazidiyat se muqabla hai husaini lashkar banae rakkho
rawangi bhi misal ki ho jiyo nabi ke jawan ban kar
kisi ne 'maKHfi' kiya bharosa wirasaton ki hifazaton ka
yaqin mein malik mujhe badal de marun na jhuTa guman ban kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.