kahan hain sab ke sab fankar apne
kahan hain sab ke sab fankar apne
Mohamamd Rafiq Nadvi Shad
MORE BYMohamamd Rafiq Nadvi Shad
kahāñ haiñ sab ke sab fankār apne
liye phirte haiñ jo pindār apne
raqam tārīḳh meñ shahkār apne
hamesha hausle hathiyār apne
parinde phaḌphaḌā kar gir rahe haiñ
sa.mbhālo gumbad-o-mīnār apne
nahīñ das biis par mauqūf hastī
haiñ lākhoñ sar-ba-kaf tayyār apne
hameñ taḳhrīb ke ta.ane na denā
jahāñ bhar ke haiñ sab me.amār apne
unheñ kahte ho apne ghar ko jaa.eñ
bhulā baiThe haiñ jo ghar-bār apne
tumhārī saḳhtiyāñ haiñ be-zaroñ par
ye pūchho the kahāñ zardār apne
hamesha maut ke saudāgaroñ se
bhare haiñ kūcha-o-bāzār apne
agar hai amn kī ḳhvāhish haTāo
hamāre ghar se pahre-dār apne
kahan hain sab ke sab fankar apne
liye phirte hain jo pindar apne
raqam tariKH mein shahkar apne
hamesha hausle hathiyar apne
parinde phaDphaDa kar gir rahe hain
sambhaalo gumbad-o-minar apne
nahin das bis par mauquf hasti
hain lakhon sar-ba-kaf tayyar apne
hamein taKHrib ke tane na dena
jahan bhar ke hain sab meamar apne
unhen kahte ho apne ghar ko jaen
bhula baiThe hain jo ghar-bar apne
tumhaari saKHtiyan hain be-zaron par
ye puchho the kahan zardar apne
hamesha maut ke saudagaron se
bhare hain kucha-o-bazar apne
agar hai amn ki KHwahish haTao
hamare ghar se pahre-dar apne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.