kahan hun main aur kahan nahin hun
kahāñ huuñ maiñ aur kahāñ nahīñ huuñ
jahāñ ho tum kyā vahāñ nahīñ huuñ
vajūd se mere ho na munkir
maiñ ik yaqīñ huuñ gumāñ nahīñ huuñ
maiñ hausla ḳhud huuñ zindagī kā
maiñ koī bār-e-garāñ nahīñ huuñ
na goshvāre meñ mujh ko likkho
hisāb sūd-o-ziyāñ nahīñ huuñ
mire hī dam se shu.ūr-e-hastī
faqat maiñ rañg-e-jahāñ nahīñ huuñ
kahan hun main aur kahan nahin hun
jahan ho tum kya wahan nahin hun
wajud se mere ho na munkir
main ek yaqin hun guman nahin hun
main hausla KHud hun zindagi ka
main koi bar-e-garan nahin hun
na goshware mein mujh ko likkho
hisab sud-o-ziyan nahin hun
mere hi dam se shuur-e-hasti
faqat main rang-e-jahan nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.