kahan jaega dard unki judai ka KHafa ho kar
kahāñ jā.egā dard un kī judā.ī kā ḳhafā ho kar
mire dil se nikal kar mere pahlū se judā ho kar
janāb-e-shaiḳh masjid meñ na baiTheñ pārsā ho kar
baqā hāsil kareñ us kī mohabbat meñ fanā ho kar
ta.ajjub hai butoñ ko baat karnā bhī nahīñ aatā
ḳhudā.ī meñ ḳhudā.ī karne baiThe haiñ ḳhudā ho kar
maiñ vo huuñ saḳht jo uf bhī na niklegī mire muñh se
jafāoñ par jafā.eñ jis qadar tū chāhtā ho kar
bajā kahte haiñ jo kahte haiñ tujh ko yār-e-harjā.ī
ki tū rahtā hai sab ke dil meñ sab kā āshnā ho kar
musībat meñ rahā karte haiñ jo bhī daana duniyā meñ
unhīñ ko pīstā hai charḳh-e-zālim āsiyā ho kar
tumhāre ham hamāre tum tumheñ kyā vāsta is se
adū ke āshnā kyuuñ ho hamāre āshnā ho kar
sar-e-mahfil jo mujh ko dekhte haiñ vo kan-āñkhiyoñ se
chhupī baiThī hai shoḳhī un kī āñkhoñ meñ hayā ho kar
sahar tak us ke sadmoñ se ho jāñ-bar ġhair mumkin hai
shab-e-furqat mire ghar aa.ī hai merī qazā ho kar
kahāñ tak shauq-e-nazzāra hai be-ḳhud ho ke ai 'sābir'
paḌā huuñ maiñ kisī kī rahguzar meñ naqsh-e-pā ho kar
janāb-e-dil kī bātoñ meñ na aanā dekh ai 'sābir'
ye hazrat rāh-e-ulfat meñ haiñ rahzan rahnumā ho kar
kahan jaega dard un ki judai ka KHafa ho kar
mere dil se nikal kar mere pahlu se juda ho kar
janab-e-shaiKH masjid mein na baiThen parsa ho kar
baqa hasil karen us ki mohabbat mein fana ho kar
tajjub hai buton ko baat karna bhi nahin aata
KHudai mein KHudai karne baiThe hain KHuda ho kar
main wo hun saKHt jo uf bhi na niklegi mere munh se
jafaon par jafaen jis qadar tu chahta ho kar
baja kahte hain jo kahte hain tujh ko yar-e-harjai
ki tu rahta hai sab ke dil mein sab ka aashna ho kar
musibat mein raha karte hain jo bhi dana duniya mein
unhin ko pista hai charKH-e-zalim aasiya ho kar
tumhaare hum hamare tum tumhein kya wasta is se
adu ke aashna kyun ho hamare aashna ho kar
sar-e-mahfil jo mujh ko dekhte hain wo kan-ankhiyon se
chhupi baiThi hai shoKHi un ki aankhon mein haya ho kar
sahar tak us ke sadmon se ho jaan-bar ghair mumkin hai
shab-e-furqat mere ghar aai hai meri qaza ho kar
kahan tak shauq-e-nazzara hai be-KHud ho ke ai 'sabir'
paDa hun main kisi ki rahguzar mein naqsh-e-pa ho kar
janab-e-dil ki baaton mein na aana dekh ai 'sabir'
ye hazrat rah-e-ulfat mein hain rahzan rahnuma ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.