kahan jate ho muD kar waqt-e-ruKHsat dekhte jao
kahāñ jaate ho muḌ kar vaqt-e-ruḳhsat dekhte jaao
dikhā kar apnī sūrat merī sūrat dekhte jaao
jo aa.e ho uḌā kar ḳhāk-e-turbat dekhte jaao
qayāmat kyā kuchh āsār-e-qayāmat dekhte jaao
adū se laḌ ke mujh se laḌ rahī haiñ ab sar-e-mahfil
zarā tum apnī āñkhoñ kī sharārat dekhte jaao
na poñchho moḌ kar muñh mere aañsū apne dāman se
na phero aañkh tāsīr-e-mohabbat dekhte jaao
chale jaate ho muñh phere hue gor-e-ġharībāñ se
banā hai zarra zarra chashm-e-ibrat dekhte jaao
tumheñ ma.alūm to ho jaa.e dam kaise nikaltā hai
dam-e-āḳhir zarā 'safdar' kī hālat dekhte jaao
kahan jate ho muD kar waqt-e-ruKHsat dekhte jao
dikha kar apni surat meri surat dekhte jao
jo aae ho uDa kar KHak-e-turbat dekhte jao
qayamat kya kuchh aasar-e-qayamat dekhte jao
adu se laD ke mujh se laD rahi hain ab sar-e-mahfil
zara tum apni aankhon ki shararat dekhte jao
na ponchho moD kar munh mere aansu apne daman se
na phero aankh tasir-e-mohabbat dekhte jao
chale jate ho munh phere hue gor-e-ghariban se
bana hai zarra zarra chashm-e-ibrat dekhte jao
tumhein malum to ho jae dam kaise nikalta hai
dam-e-aKHir zara 'safdar' ki haalat dekhte jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.