kahan ka ranj-e-mohabbat koi alam bhi nahin
kahan ka ranj-e-mohabbat koi alam bhi nahin
Aqeel Siddqui Maahir
MORE BYAqeel Siddqui Maahir
kahāñ kā ranj-e-mohabbat koī alam bhī nahīñ
vo mujh se duur huā is kā koī ġham bhī nahīñ
hamesha sunte ho tum bā-vafāoñ kī bāteñ
kabhī hamārī suno bevafā to ham bhī nahīñ
ġhamoñ kā daur to har ik ko gher letā hai
mirā jo ġham hai kisī aur se to kam bhī nahīñ
hamāre uzr-e-mohabbat pe taish khā ke kahā
sitam kiyā hai sitam ko kahā sitam bhī nahīñ
vo itnī baar sar-e-rāh mil ga.e 'māhir'
ye be-niyāzī kā aalam jabīñ pe ḳham bhī nahīñ
kahan ka ranj-e-mohabbat koi alam bhi nahin
wo mujh se dur hua is ka koi gham bhi nahin
hamesha sunte ho tum ba-wafaon ki baaten
kabhi hamari suno bewafa to hum bhi nahin
ghamon ka daur to har ek ko gher leta hai
mera jo gham hai kisi aur se to kam bhi nahin
hamare uzr-e-mohabbat pe taish kha ke kaha
sitam kiya hai sitam ko kaha sitam bhi nahin
wo itni bar sar-e-rah mil gae 'mahir'
ye be-niyazi ka aalam jabin pe KHam bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.