kahan ka sauda junun kaisa ki taq-e-dil mein malal rakhte
kahan ka sauda junun kaisa ki taq-e-dil mein malal rakhte
Syed Khursheed Alam Kakwi
MORE BYSyed Khursheed Alam Kakwi
kahāñ kā saudā junūn kaisā ki tāq-e-dil meñ malāl rakhte
agar vo ahvāl-e-dil sunāte to ham bhī apnā ḳhayāl rakhte
kabhī vo aate bahār aatī ḳhizāñ-rasīda sahan meñ apne
har ik qadam par bichhāte palkeñ dil-o-jigar bhī nikāl rakhte
vo ahd-e-māzī ke lauh-parvar aur un ke dil meñ jahāñ kā ġham thā
tumhārī ulfat ke baad ham kyoñ zamāne bhar kā vabāl rakhte
adū ke lashkar ko maat de kar ham apnī bastī meñ aa ga.e the
agar zamāna-shanās hote to apne hāthoñ meñ Dhaal rakhte
kabhī to 'ḳhurshīd' shab meñ aatā hamārī rāhoñ ko jagmagātā
jo pīr-e-kāmil kā faiz hotā to ham bhī aisā kamāl rakhte
kahan ka sauda junun kaisa ki taq-e-dil mein malal rakhte
agar wo ahwal-e-dil sunate to hum bhi apna KHayal rakhte
kabhi wo aate bahaar aati KHizan-rasida sahan mein apne
har ek qadam par bichhate palken dil-o-jigar bhi nikal rakhte
wo ahd-e-mazi ke lauh-parwar aur un ke dil mein jahan ka gham tha
tumhaari ulfat ke baad hum kyon zamane bhar ka wabaal rakhte
adu ke lashkar ko mat de kar hum apni basti mein aa gae the
agar zamana-shanas hote to apne hathon mein Dhaal rakhte
kabhi to 'KHurshid' shab mein aata hamari rahon ko jagmagata
jo pir-e-kaamil ka faiz hota to hum bhi aisa kamal rakhte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.