kahan kahan na gai mehrban ki KHushbu
kahāñ kahāñ na ga.ī mehrbān kī ḳhushbū
zamāne bhar meñ hai urdu zabān kī ḳhushbū
badan se jis ghaḌī niklegī jaan kī ḳhushbū
milegī ḳhaak meñ tab ān-bān kī ḳhushbū
qadam bahakte haiñ jazbāt ke añdheroñ meñ
to khīñch laatī hai mujh ko makān kī ḳhushbū
jo haq ke vāste denā paḌe zamāne meñ
ajiib hotī hai is imtihān kī ḳhushbū
yahāñ pe pyaar hai yak-jehtī bhā.ī-chāra hai
baḌī hī ḳhuub hai hindostān kī ḳhushbū
javān hoñge jo sāzish kī god meñ fitne
kahāñ se aa.egī amn-o-amān kī ḳhushbū
vafā ḳhulūs diyānat hayā sadāqat pyaar
'nisār' ham bhī luTāte haiñ shaan kī ḳhushbū
kahan kahan na gai mehrban ki KHushbu
zamane bhar mein hai urdu zaban ki KHushbu
badan se jis ghaDi niklegi jaan ki KHushbu
milegi KHak mein tab aan-ban ki KHushbu
qadam bahakte hain jazbaat ke andheron mein
to khinch lati hai mujh ko makan ki KHushbu
jo haq ke waste dena paDe zamane mein
ajib hoti hai is imtihan ki KHushbu
yahan pe pyar hai yak-jehti bhai-chaara hai
baDi hi KHub hai hindostan ki KHushbu
jawan honge jo sazish ki god mein fitne
kahan se aaegi amn-o-aman ki KHushbu
wafa KHulus diyanat haya sadaqat pyar
'nisar' hum bhi luTate hain shan ki KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.