kahan kahan se guzar raha hun
kahāñ kahāñ se guzar rahā huuñ
maiñ āñdhiyoñ meñ bikhar rahā huuñ
kisī bhī sūrat na chain pā.ūñ
ye kis tajassus meñ mar rahā huuñ
maiñ surḳhiyoñ meñ kahāñ se hotā
maiñ hāshiye kī ḳhabar rahā huuñ
sabhoñ ko jaanā hai paar lekin
maiñ paar jaane se Dar rahā huuñ
na merī manzil na koī jaada
azal se gard-e-safar rahā huuñ
mujhe to marnā thā ġham meñ 'fikrī'
maiñ ġham meñ jal kar nikhar rahā huuñ
kahan kahan se guzar raha hun
main aandhiyon mein bikhar raha hun
kisi bhi surat na chain paun
ye kis tajassus mein mar raha hun
main surKHiyon mein kahan se hota
main hashiye ki KHabar raha hun
sabhon ko jaana hai par lekin
main par jaane se Dar raha hun
na meri manzil na koi jada
azal se gard-e-safar raha hun
mujhe to marna tha gham mein 'fikri'
main gham mein jal kar nikhar raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.