kahan kahan tujhe DhunDun kahan kahan dekhun
kahāñ kahāñ tujhe DhūñDūñ kahāñ kahāñ dekhūñ
dikhā.ī kyoñ nahīñ detā hai maiñ jahāñ dekhūñ
fazā meñ phail rahā hai ab intishār bahut
na jaane kitne hī chehre dhuāñ dhuāñ dekhūñ
kisī ke sāmne zāhir na hoñ mire hālāt
ḳhudāyā tujh ko faqat faqat apnā rāz-dāñ dekhūñ
zamīñ pe phir kahīñ vahshat ne sar ubhārā hai
lahū ke rañg meñ phir aaj āsmāñ dekhūñ
ye aarzū ki mere ishq ko mile me.arāj
namāz-e-ishq paḌhūñ hijr-e-be-karāñ dekhūñ
bahār aa.egī dil ko hai ab yaqīn mire
ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ phūloñ ke kārvāñ dekhūñ
banī hai dil meñ magar ruḳh se baat hai zāhir
'sadaf' ke chehre ko maiñ dil kā aa.ina dekhūñ
kahan kahan tujhe DhunDun kahan kahan dekhun
dikhai kyon nahin deta hai main jahan dekhun
faza mein phail raha hai ab intishaar bahut
na jaane kitne hi chehre dhuan dhuan dekhun
kisi ke samne zahir na hon mere haalat
KHudaya tujh ko faqat faqat apna raaz-dan dekhun
zamin pe phir kahin wahshat ne sar ubhaara hai
lahu ke rang mein phir aaj aasman dekhun
ye aarzu ki mere ishq ko mile mearaj
namaz-e-ishq paDhun hijr-e-be-karan dekhun
bahaar aaegi dil ko hai ab yaqin mere
KHayal-o-KHwab mein phulon ke karwan dekhun
bani hai dil mein magar ruKH se baat hai zahir
'sadaf' ke chehre ko main dil ka aaina dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.