kahan kho gae hain sae wo ghane chinar wale
kahāñ kho ga.e haiñ saa.e vo ghane chinār vaale
vo ravish ravish tarāne hasīn ābshār vaale
shab-o-roz DhūñDhtā huuñ vahī pur-bahār vā'de
vahī muztarib se lamhe tire intizār vaale
dhulī barf kī chaTTāneñ hasīñ dev-dār jhīleñ
kahīñ bhuul hī na jaa.eñ hameñ kohsār vaale
haiñ udaas udaas patte vo nadī ke sabz sāhil
mire raaz ke nigahbāñ mire e'tibār vaale
kahāñ chhup gayā hai 'kāzim' tire kārvāñ kā rahbar
use yaad kar rahe haiñ abhī tak ġhubār vaale
kahan kho gae hain sae wo ghane chinar wale
wo rawish rawish tarane hasin aabshaar wale
shab-o-roz DhunDhta hun wahi pur-bahaar wa'de
wahi muztarib se lamhe tere intizar wale
dhuli barf ki chaTTanen hasin dew-dar jhilen
kahin bhul hi na jaen hamein kohsar wale
hain udas udas patte wo nadi ke sabz sahil
mere raaz ke nigahban mere e'tibar wale
kahan chhup gaya hai 'kazim' tere karwan ka rahbar
use yaad kar rahe hain abhi tak ghubar wale
- Book : کتاب سنگ (Pg. 48)
- Author : کاظم جرولی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.