kahan khoi thi teri rahguzar likkhi hai
kahāñ khoī thī tirī rāhguzar likkhī hai
dil ke aurāq pe rūdād-e-safar likkhī hai
kisī goshe meñ dharī ab bhī hai almārī meñ
tere baare meñ vo ik chiTThī jo ghar likkhī hai
raat bhar kurte ke ghere pe girā ḳhūn-e-jigar
dāstāñ phir se tirī dīda-e-tar likkhī hai
chāñdnī dhokā to chehra hai faqat husn-e-nazar
luġhat-e-dard meñ taqdīr-e-qamar likkhī hai
ham qanā.at ke bhikārī haiñ tavakkul ke faqīr
hai bahut tere karam kī jo nazar likkhī hai
kahan khoi thi teri rahguzar likkhi hai
dil ke auraq pe rudad-e-safar likkhi hai
kisi goshe mein dhari ab bhi hai almari mein
tere bare mein wo ek chiTThi jo ghar likkhi hai
raat bhar kurte ke ghere pe gira KHun-e-jigar
dastan phir se teri dida-e-tar likkhi hai
chandni dhoka to chehra hai faqat husn-e-nazar
lughat-e-dard mein taqdir-e-qamar likkhi hai
hum qanaat ke bhikari hain tawakkul ke faqir
hai bahut tere karam ki jo nazar likkhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.