kahan KHwabon ki tabiron talak hai
kahāñ ḳhvāboñ kī ta.abīroñ talak hai
ye saarā husn tasvīroñ talak hai
pas-e-parda havas hai kār-farmā
mohabbat sirf tahrīroñ talak hai
kisī par khul sake hālat hamārī
ye chashm-e-nam kī tafsīroñ talak hai
hamārī bad-nasībī kā mudāvā
kahāñ aadam kī tadbīroñ talak hai
mirā shauq-e-asīrī shāh-zādī
tirī zulfoñ kī zanjīroñ talak hai
kahāñ ham se faqīroñ kī rasā.ī
tire sapnoñ kī jāgīroñ talak hai
vafā kī dāstāñ duniyā meñ 'kāshif'
rah-e-ulfat ke naḳhchīroñ talak hai
kahan KHwabon ki tabiron talak hai
ye sara husn taswiron talak hai
pas-e-parda hawas hai kar-farma
mohabbat sirf tahriron talak hai
kisi par khul sake haalat hamari
ye chashm-e-nam ki tafsiron talak hai
hamari bad-nasibi ka mudawa
kahan aadam ki tadbiron talak hai
mera shauq-e-asiri shah-zadi
teri zulfon ki zanjiron talak hai
kahan hum se faqiron ki rasai
tere sapnon ki jagiron talak hai
wafa ki dastan duniya mein 'kashif'
rah-e-ulfat ke naKHchiron talak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.