kahan ki aas mohabbat mein yas bhi na rahi
kahāñ kī aas mohabbat meñ yaas bhī na rahī
tire baġhair haqīqat meñ zindagī na rahī
shamīm-e-āriz-e-gul-rang se na rakh mahrūm
ki bū-e-gul pe kabhī qaid baaġh kī na rahī
unhīñ ke jalve the bikhre hue sar-e-mahfil
vo kyā uThe ki charāġhoñ meñ raushnī na rahī
nigāh-e-mast ko jab dil se vāsta na rahā
qadam qadam pe vo laġhzish vo be-ḳhudī na rahī
hameñ ḳhayāl thā mahshar meñ faisla hogā
milā ḳhudā se to us but meñ kāfirī na rahī
tumhārī mahfil-e-ishrat meñ ḳhaak shāmil hoñ
hamāre lab pe dikhāve kī bhī hañsī na rahī
atā ho phir vahī josh-e-junūn-e-dil merā
ki jab se dil ko sañbhālā hai zindagī na rahī
dil-e-harīs hī apnā na ho sakā qaane
vagarna tere karam meñ to kuchh kamī na rahī
sharāb talḳh sahī kuchh surūr to laa.ī
jafā meñ aap kī shāyad vo chāshnī na rahī
najāt mil ga.ī ai 'soz' ham ko jīte-jī
ki jab se qaid-e-alā.iq kī zindagī na rahī
kahan ki aas mohabbat mein yas bhi na rahi
tere baghair haqiqat mein zindagi na rahi
shamim-e-ariz-e-gul-rang se na rakh mahrum
ki bu-e-gul pe kabhi qaid bagh ki na rahi
unhin ke jalwe the bikhre hue sar-e-mahfil
wo kya uThe ki charaghon mein raushni na rahi
nigah-e-mast ko jab dil se wasta na raha
qadam qadam pe wo laghzish wo be-KHudi na rahi
hamein KHayal tha mahshar mein faisla hoga
mila KHuda se to us but mein kafiri na rahi
tumhaari mahfil-e-ishrat mein KHak shamil hon
hamare lab pe dikhawe ki bhi hansi na rahi
ata ho phir wahi josh-e-junun-e-dil mera
ki jab se dil ko sanbhaala hai zindagi na rahi
dil-e-haris hi apna na ho saka qane
wagarna tere karam mein to kuchh kami na rahi
sharab talKH sahi kuchh surur to lai
jafa mein aap ki shayad wo chashni na rahi
najat mil gai ai 'soz' hum ko jite-ji
ki jab se qaid-e-alaiq ki zindagi na rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.