kahan ki chaal nikali hai ye kahan ki tarah
kahan ki chaal nikali hai ye kahan ki tarah
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
kahāñ kī chaal nikālī hai ye kahāñ kī tarah
zamīñ pe chalne lage log āsmāñ kī tarah
tumhīñ batāo ki tāsīr is meñ kyā hogī
jo tum sunoge mirā haal dāstāñ kī tarah
shab-e-visāl bayāñ kyā kareñ ġham-e-hijrāñ
vo dard-e-dil ko bhī sunte haiñ dāstāñ kī tarah
dikhā rahā hai zamāne ko inqalāb kī shakl
badal rahā hai koī rang āsmāñ kī tarah
har ek baat mirī kaaT dī dam-e-taqrīr
chale na teġh bhī zālim tirī zabāñ kī tarah
khaḌe haiñ hashr meñ ḳhāmosh ahl-e-hashr tamām
kalām muñh se nikaltā nahīñ zabāñ kī tarah
falak vo chaal bhī ab chal ki ho mujhe taskīñ
ujaaḌ ḳhāna-e-sayyād āshiyāñ kī tarah
ḳhudā hī jaane ki rindoñ ne kyā kiyā 'mas.ūd'
janāb-e-shaiḳh ne fariyād kī azaañ kī tarah
kahan ki chaal nikali hai ye kahan ki tarah
zamin pe chalne lage log aasman ki tarah
tumhin batao ki tasir is mein kya hogi
jo tum sunoge mera haal dastan ki tarah
shab-e-visal bayan kya karen gham-e-hijran
wo dard-e-dil ko bhi sunte hain dastan ki tarah
dikha raha hai zamane ko inqalab ki shakl
badal raha hai koi rang aasman ki tarah
har ek baat meri kaT di dam-e-taqrir
chale na tegh bhi zalim teri zaban ki tarah
khaDe hain hashr mein KHamosh ahl-e-hashr tamam
kalam munh se nikalta nahin zaban ki tarah
falak wo chaal bhi ab chal ki ho mujhe taskin
ujaD KHana-e-sayyaad aashiyan ki tarah
KHuda hi jaane ki rindon ne kya kiya 'masud'
janab-e-shaiKH ne fariyaad ki azan ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.