kahan kisi ki nazar hai teri nazar ki tarah
kahāñ kisī kī nazar hai tirī nazar kī tarah
jo kaam dil kā bhī kartī chale jigar kī tarah
bahut se aise bhī duniyā meñ log milte haiñ
jo bā-ḳhabar haiñ magar haiñ vo be-ḳhabar kī tarah
ye barbariyat-o-vahshat ye aag aur ye dhuāñ
bashar ko rahnā bhī mushkil hai ab bashar kī tarah
asīr-e-hūr haiñ vaa.iz ab un kī kaun sune
kahānī aap kī hai tūl-e-muḳhtasar kī tarah
barasne ko to barastā hai abr-e-naisāñ bhī
magar baras na sakā merī chashm-e-tar kī tarah
na jaane kaun se aalam meñ gum huā 'āsī'
na bā-ḳhabar kī tarah hai na be-ḳhabar kī tarah
kahan kisi ki nazar hai teri nazar ki tarah
jo kaam dil ka bhi karti chale jigar ki tarah
bahut se aise bhi duniya mein log milte hain
jo ba-KHabar hain magar hain wo be-KHabar ki tarah
ye barbariyat-o-wahshat ye aag aur ye dhuan
bashar ko rahna bhi mushkil hai ab bashar ki tarah
asir-e-hur hain waiz ab un ki kaun sune
kahani aap ki hai tul-e-muKHtasar ki tarah
barasne ko to barasta hai abr-e-naisan bhi
magar baras na saka meri chashm-e-tar ki tarah
na jaane kaun se aalam mein gum hua 'asi'
na ba-KHabar ki tarah hai na be-KHabar ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.