kahan kisi ko dikhai gai hai KHamoshi
kahāñ kisī ko dikhā.ī ga.ī hai ḳhāmoshī
baġhair jism banā.ī ga.ī hai ḳhāmoshī
tazād ye hai banā kar khanaktī miTTī se
mire lahū meñ milā.ī ga.ī hai ḳhāmoshī
balā kā shor uñDelā gayā hai kānoñ meñ
magar zabāñ ko sikhā.ī ga.ī hai ḳhāmoshī
zamīñ pe is kā guzārā nahīñ thā is baa.is
ḳhalā ke beach basā.ī ga.ī hai ḳhāmoshī
kuchh is liye bhī huā shor-e-bazm-e-mai ki unheñ
ġhazal banā ke sunā.ī ga.ī hai ḳhāmoshī
kahan kisi ko dikhai gai hai KHamoshi
baghair jism banai gai hai KHamoshi
tazad ye hai bana kar khanakti miTTi se
mere lahu mein milai gai hai KHamoshi
bala ka shor unDela gaya hai kanon mein
magar zaban ko sikhai gai hai KHamoshi
zamin pe is ka guzara nahin tha is bais
KHala ke beach basai gai hai KHamoshi
kuchh is liye bhi hua shor-e-bazm-e-mai ki unhen
ghazal bana ke sunai gai hai KHamoshi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.