kahan kisi ko hosh tha kahan kisi mein tab thi
kahāñ kisī ko hosh thā kahāñ kisī meñ taab thī
tirī nazar se anjuman kī anjuman ḳharāb thī
adā adā bahār thī nazar nazar sharāb thī
kisī kī garmī-e-shabāb garmī-e-shabāb thī
kisī ko is kā ilm kyā kisī ko is kī kyā ḳhabar
ki merī zindagī bhī ek zindagī kā ḳhvāb thī
baḌe qalaq kī baat hai ki tum na us ko paḌh sake
hamārī zindagī to ik khulī huī kitāb thī
vo sab kahāniyāñ to thiiñ mire hī dil kī bazm meñ
tumhārī chashm-e-surmagīñ na jaane kyoñ pur-āb thī
hayāt-e-bā-murād par ye tabsire bajā sahī
magar vo zindagī ki jis kī har talab sarāb thī
kahan kisi ko hosh tha kahan kisi mein tab thi
teri nazar se anjuman ki anjuman KHarab thi
ada ada bahaar thi nazar nazar sharab thi
kisi ki garmi-e-shabab garmi-e-shabab thi
kisi ko is ka ilm kya kisi ko is ki kya KHabar
ki meri zindagi bhi ek zindagi ka KHwab thi
baDe qalaq ki baat hai ki tum na us ko paDh sake
hamari zindagi to ek khuli hui kitab thi
wo sab kahaniyan to thin mere hi dil ki bazm mein
tumhaari chashm-e-surmagin na jaane kyon pur-ab thi
hayat-e-ba-murad par ye tabsire baja sahi
magar wo zindagi ki jis ki har talab sarab thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.