kahan kuchh bhi adhura chahta hun
kahāñ kuchh bhī adhūrā chāhtā huuñ
thakā huuñ aur thaknā chāhtā huuñ
ye mumkin to nahīñ par kyā burā hai
jā sab achchhā hī achchhā chāhtā huuñ
samundar chhoḌ kar sahrā meñ aayā
yahāñ dariyā hī dariyā chāhtā huuñ
jahāñ ye chāñd dekhā jā rahā hai
vahāñ sūraj ugānā chāhtā huuñ
mujhe hāsil nahīñ kuchh zindagī se
magar kyuuñ aur jiinā chāhtā huuñ
mujhe 'bebāk' kab ma.alūm hogā
ki āḳhir ḳhud se maiñ kyā chāhtā huuñ
kahan kuchh bhi adhura chahta hun
thaka hun aur thakna chahta hun
ye mumkin to nahin par kya bura hai
ja sab achchha hi achchha chahta hun
samundar chhoD kar sahra mein aaya
yahan dariya hi dariya chahta hun
jahan ye chand dekha ja raha hai
wahan suraj ugana chahta hun
mujhe hasil nahin kuchh zindagi se
magar kyun aur jina chahta hun
mujhe 'bebak' kab malum hoga
ki aaKHir KHud se main kya chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.