kahan le jaun ummidon ki duniya bazm-e-imkan se
kahāñ le jā.ūñ ummīdoñ kī duniyā bazm-e-imkāñ se
ki qismat ko shikāyat hai farāvānī-e-hirmāñ se
milā hai vo gudāz-e-ishq-o-zauq-e-dard-e-jāñkāhī
fazā.eñ thartharātī haiñ mire jazbāt-e-pinhāñ se
mirī har saañs hai Duubī huī zahrāba-e-ġham meñ
hazar ai chārāgar andesha-hā-e-fikr-e-darmāñ se
tirā jalva to be-shak jalva bār-e-ām thā lekin
shikāyat kar rahā huuñ ḳhud maiñ apnī chashm-e-hairāñ se
ḳhudā-hāfiz tirā ai qalb-e-vīrāñ ab ḳhudā-hāfiz
ki mahrūmī ko merī dushmanī hai mere armāñ se
maiñ sadqe jalva-ārā tere zauq-e-ḳhud-numā.ī ke
murattab kar diyā hastī ko ajzā-e-pareshāñ se
maiñ vo lazzat-shanās-e-be-kasī huuñ gar mirā bas ho
badal luuñ sub.h-e-ishrat ko maiñ apnī shām-e-hijrāñ se
Thahar kar dekhtā jā be-kasī-e-ḳhāna-vīrānī
are o jaane vaale shaam ko gor-e-ġharībāñ se
har ik zarra hamārī dasht-paimā.ī kā shāhid hai
sunoge dāstāneñ tum har ik ḳhār-e-bayābāñ se
mujhe barbādī-e-hastī kī kuchh parvā nahīñ 'sāqib'
maiñ phir tartīb dūñgā dil ke ajzā-e-pareshāñ se
kahan le jaun ummidon ki duniya bazm-e-imkan se
ki qismat ko shikayat hai farawani-e-hirman se
mila hai wo gudaz-e-ishq-o-zauq-e-dard-e-jaankahi
fazaen thartharaati hain mere jazbaat-e-pinhan se
meri har sans hai Dubi hui zahraba-e-gham mein
hazar ai chaaragar andesha-ha-e-fikr-e-darman se
tera jalwa to be-shak jalwa bar-e-am tha lekin
shikayat kar raha hun KHud main apni chashm-e-hairan se
KHuda-hafiz tera ai qalb-e-viran ab KHuda-hafiz
ki mahrumi ko meri dushmani hai mere arman se
main sadqe jalwa-ara tere zauq-e-KHud-numai ke
murattab kar diya hasti ko ajza-e-pareshan se
main wo lazzat-shanas-e-be-kasi hun gar mera bas ho
badal lun subh-e-ishrat ko main apni sham-e-hijran se
Thahar kar dekhta ja be-kasi-e-KHana-virani
are o jaane wale sham ko gor-e-ghariban se
har ek zarra hamari dasht-paimai ka shahid hai
sunoge dastanen tum har ek KHar-e-bayaban se
mujhe barbaadi-e-hasti ki kuchh parwa nahin 'saqib'
main phir tartib dunga dil ke ajza-e-pareshan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.