kahan main zar ke samundar talash karta hun
kahan main zar ke samundar talash karta hun
Mohaamad Nasim Nawaz
MORE BYMohaamad Nasim Nawaz
kahāñ maiñ zar ke samundar talāsh kartā huuñ
ḳhulūs-o-pyār ke paikar talāsh kartā huuñ
talāsh kartā nahīñ dūsroñ ke aib kabhī
ḳhud apnī zaat ke andar talāsh kartā huuñ
maiñ dushmanī bhī kisī se karūñ to kaise karūñ
harīf qad ke barābar talāsh kartā huuñ
jalā.e pyaar ke dīpak bujhā.e nafrat ke
maiñ un havāoñ kā lashkar talāsh kartā huuñ
hatheliyoñ kī lakīroñ pe kyā yaqīn karūñ
maiñ hausloñ se muqaddar talāsh kartā huuñ
nafas-nafas meñ tū hī to 'nasīm' sāñsoñ meñ
maiñ tujh ko jism ke bāhar talāsh kartā huuñ
kahan main zar ke samundar talash karta hun
KHulus-o-pyar ke paikar talash karta hun
talash karta nahin dusron ke aib kabhi
KHud apni zat ke andar talash karta hun
main dushmani bhi kisi se karun to kaise karun
harif qad ke barabar talash karta hun
jalae pyar ke dipak bujhae nafrat ke
main un hawaon ka lashkar talash karta hun
hatheliyon ki lakiron pe kya yaqin karun
main hauslon se muqaddar talash karta hun
nafas-nafas mein tu hi to 'nasim' sanson mein
main tujh ko jism ke bahar talash karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.