kahan milega wo mujhse agar yahan bhi rahe
kahāñ milegā vo mujh se agar yahāñ bhī rahe
mirī duā hai ki vo ḳhush rahe jahāñ bhī rahe
dil-e-ḳharāb ye ḳhvāhish tirī ajab hai ki vo
sitam bhī kam na kare aur mehrbāñ bhī rahe
abhī zamīn pe jannat nahīñ banī yaaro
jahāñ ke qisse sunāte ho ham vahāñ bhī rahe
rahā hamesha hī sāmān muḳhtasar apnā
musāfiroñ kī tarah ham rahe jahāñ bhī rahe
jo saath chalne ke bhī mustahiq na the 'bāsir'
kuchh aise log yahāñ mīr-e-kārvāñ bhī rahe
kahan milega wo mujh se agar yahan bhi rahe
meri dua hai ki wo KHush rahe jahan bhi rahe
dil-e-KHarab ye KHwahish teri ajab hai ki wo
sitam bhi kam na kare aur mehrban bhi rahe
abhi zamin pe jannat nahin bani yaro
jahan ke qisse sunate ho hum wahan bhi rahe
raha hamesha hi saman muKHtasar apna
musafiron ki tarah hum rahe jahan bhi rahe
jo sath chalne ke bhi mustahiq na the 'basir'
kuchh aise log yahan mir-e-karwan bhi rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.