kahan qarar hai kahne ko dil qarar mein hai
kahāñ qarār hai kahne ko dil qarār meñ hai
jo thī ḳhizāñ meñ vahī kaifiyat bahār meñ hai
chaman kī ḳhair ho kyā hai jo aaj har taa.ir
paroñ ko apne sameTe hue bahār meñ hai
ab aisā jiinā bhī jiine meñ koī jiinā hai
na aap bas meñ na dil apne iḳhtiyār meñ hai
chaman meñ the to satātī thī fikr-e-dāna-o-dām
qafas meñ haiñ to dil aTkā huā bahār meñ hai
kahīñ khulī to nahīñ zulf-e-ḳham-ba-ḳham us kī
ik iztirāb kā 'ālam mire ġhubār meñ hai
vo dil-farebī-e-rang-e-bahār kyā jaane
ki jis kā hosh Thikāne nahīñ bahār meñ hai
isī kā naam hai shoḳhī to iztirāb hai kyā
kisī ke dil kā talātum nigāh-e-yār meñ hai
chaman meñ aa hī ga.e haiñ to muskurā diije
kalī bhī aap ke hañsne ke intizār meñ hai
idhar bhī ek uchaTtī nazar ḳhudā ke liye
khaḌā huā koī pahroñ se intizār meñ hai
qadam qadam pe to hai sāmnā qayāmat kā
zamāna phir bhī qayāmat ke intizār meñ hai
yahāñ to zuhd kā dāman bhī chaak hai 'bismil'
yahāñ mirā dil-e-dīvāna kis shumār meñ hai
kahan qarar hai kahne ko dil qarar mein hai
jo thi KHizan mein wahi kaifiyat bahaar mein hai
chaman ki KHair ho kya hai jo aaj har tair
paron ko apne sameTe hue bahaar mein hai
ab aisa jina bhi jine mein koi jina hai
na aap bas mein na dil apne iKHtiyar mein hai
chaman mein the to satati thi fikr-e-dana-o-dam
qafas mein hain to dil aTka hua bahaar mein hai
kahin khuli to nahin zulf-e-KHam-ba-KHam us ki
ek iztirab ka 'alam mere ghubar mein hai
wo dil-farebi-e-rang-e-bahaar kya jaane
ki jis ka hosh Thikane nahin bahaar mein hai
isi ka nam hai shoKHi to iztirab hai kya
kisi ke dil ka talatum nigah-e-yar mein hai
chaman mein aa hi gae hain to muskura dije
kali bhi aap ke hansne ke intizar mein hai
idhar bhi ek uchaTti nazar KHuda ke liye
khaDa hua koi pahron se intizar mein hai
qadam qadam pe to hai samna qayamat ka
zamana phir bhi qayamat ke intizar mein hai
yahan to zuhd ka daman bhi chaak hai 'bismil'
yahan mera dil-e-diwana kis shumar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.