kahan sadme nahin hote kahan matam nahin hota
kahan sadme nahin hote kahan matam nahin hota
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
MORE BYMumtaz Ahmad Khan Khushtar
kahāñ sadme nahīñ hote kahāñ mātam nahīñ hotā
koī aisā bhī hai duniyā meñ jis ko ġham nahīñ hotā
masarrat kā hamesha ek hī aalam nahīñ hotā
karam hotā to hai un kā magar paiham nahīñ hotā
ḳhushī kā ġham jinheñ hotā hai samjho ġham-nasīb un ko
jinheñ ġham kī ḳhushī hotī hai un ko ġham nahīñ hotā
na le jaatā jo majnūñ ālam-e-dīvāngī ham se
to us kā zikr-e-ḳhair afsāna-e-ālam nahīñ hotā
kahāñ hai tū burā.ī se burā.ī miT nahīñ saktī
are ġhāfil añdhere se añdherā kam nahīñ hotā
yahī vo vaqt hai jab aadmī ko hosh hotā hai
ḳhudā kī yaad se ġhāfil Dil-e-pur-ġham nahīñ hotā
burā jab vaqt aatā hai to is duniyā-e-ulfat meñ
koī monis nahīñ hotā koī hamdam nahīñ hotā
tasallī se kabhī taskīn-e-ḳhātir ho nahīñ saktī
junūn-e-shauq baḌh jaatā hai is se kam nahīñ hotā
fazā-e-bāġh-e-hastī meñ ḳhizāñ bhī hai bahāreñ bhī
kahāñ ḳhushiyāñ nahīñ hotīñ kahāñ mātam nahīñ hotā
nibāh āsāñ nahīñ duniyā kī rasm-e-dost-dārī kā
koī dam-sāz hotā hai to ham meñ dam nahīñ hotā
fanā ke baa'd miltā hai sukūn-e-rāhat-e-manzil
jahāñ shīrāza-e-hastī kabhī barham nahīñ hotā
koī miltā hai jab rāh-e-talab meñ rahbar-e-kāmil
to ham ko dūrī-e-manzil kā bhī kuchh ġham nahīñ hotā
hamāre ek dam par ek dam jo kuchh guzartī hai
mohabbat meñ kabhī aisā to ai hamdam nahīñ hotā
tumhīñ imdād ko 'ḳhushtar' kī aa jaate ho mushkil meñ
sahārā jab koī ai sarvar-e-ālam nahīñ hotā
kahan sadme nahin hote kahan matam nahin hota
koi aisa bhi hai duniya mein jis ko gham nahin hota
masarrat ka hamesha ek hi aalam nahin hota
karam hota to hai un ka magar paiham nahin hota
KHushi ka gham jinhen hota hai samjho gham-nasib un ko
jinhen gham ki KHushi hoti hai un ko gham nahin hota
na le jata jo majnun aalam-e-diwangi hum se
to us ka zikr-e-KHair afsana-e-alam nahin hota
kahan hai tu burai se burai miT nahin sakti
are ghafil andhere se andhera kam nahin hota
yahi wo waqt hai jab aadmi ko hosh hota hai
KHuda ki yaad se ghafil Dil-e-pur-gham nahin hota
bura jab waqt aata hai to is duniya-e-ulfat mein
koi monis nahin hota koi hamdam nahin hota
tasalli se kabhi taskin-e-KHatir ho nahin sakti
junun-e-shauq baDh jata hai is se kam nahin hota
faza-e-bagh-e-hasti mein KHizan bhi hai bahaaren bhi
kahan KHushiyan nahin hotin kahan matam nahin hota
nibah aasan nahin duniya ki rasm-e-dost-dari ka
koi dam-saz hota hai to hum mein dam nahin hota
fana ke ba'd milta hai sukun-e-rahat-e-manzil
jahan shiraaza-e-hasti kabhi barham nahin hota
koi milta hai jab rah-e-talab mein rahbar-e-kaamil
to hum ko duri-e-manzil ka bhi kuchh gham nahin hota
hamare ek dam par ek dam jo kuchh guzarti hai
mohabbat mein kabhi aisa to ai hamdam nahin hota
tumhin imdad ko 'KHushtar' ki aa jate ho mushkil mein
sahaara jab koi ai sarwar-e-alam nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.