kahan se darmiyan le aae ho jo sab nahin hota
kahan se darmiyan le aae ho jo sab nahin hota
Sagheer Ahmad Sagheer
MORE BYSagheer Ahmad Sagheer
kahāñ se darmiyāñ le aa.e ho jo sab nahīñ hotā
mohabbat kā to duniyā meñ koī maz.hab nahīñ hotā
mujhe tum dekhte rahte ho lekin kuchh nahīñ kahte
maiñ kaise maan luuñ is kā koī matlab nahīñ hotā
ham apne dil ke baare meñ batā sakte nahīñ kuchh bhī
ki jaane kab ye hotā hai na-jāne kab nahīñ hotā
ta.alluq jabr samjheñ aur nibhāte hī chale jaa.eñ
koī to had bhī hotī hai ye ham se ab nahīñ hotā
tire kahne pe sar ke bal chale aate haiñ ham varna
kisī se kaun miltā hai agar matlab nahīñ hotā
'saġhīr' ohde vaġhaira haiñ zarūrat aur logoñ kī
faqīrī meñ kisī kā koī bhī mansab nahīñ hotā
kahan se darmiyan le aae ho jo sab nahin hota
mohabbat ka to duniya mein koi mazhab nahin hota
mujhe tum dekhte rahte ho lekin kuchh nahin kahte
main kaise man lun is ka koi matlab nahin hota
hum apne dil ke bare mein bata sakte nahin kuchh bhi
ki jaane kab ye hota hai na-jaane kab nahin hota
talluq jabr samjhen aur nibhate hi chale jaen
koi to had bhi hoti hai ye hum se ab nahin hota
tere kahne pe sar ke bal chale aate hain hum warna
kisi se kaun milta hai agar matlab nahin hota
'saghir' ohde waghaira hain zarurat aur logon ki
faqiri mein kisi ka koi bhi mansab nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.