kahan se kaleja ye lae mohabbat
kahāñ se kaleja ye laa.e mohabbat
abas hai ye langar uThā.e mohabbat
zamāne meñ is kī zarūrat hai sab ko
jahāñ se mile koī laa.e mohabbat
hai siina kushāda mire shahr kā par
hai sad haif jo tū na paa.e mohabbat
ye hī dahr kī hai haqīqī kahānī
kisī ne na paa.ī davā-e-mohabbat
maiñ tishna-labī ko liye muntazir huuñ
maiñ sun luuñ ḳhudāyā sadā-e-mohabbat
adāvat se duniyā ko tum bhar rahe ho
to rasta kahāñ se ye paa.e mohabbat
mohabbat mohabbat mohabbat mohabbat
ḳhudā sab ko baḳhshe shifā-e-mohabbat
jhulasne nahīñ degī 'fahmī' samajh lo
ḳhudā kī atā ye ridā-e-mohabbat
kahan se kaleja ye lae mohabbat
abas hai ye langar uThae mohabbat
zamane mein is ki zarurat hai sab ko
jahan se mile koi lae mohabbat
hai sina kushada mere shahr ka par
hai sad haif jo tu na pae mohabbat
ye hi dahr ki hai haqiqi kahani
kisi ne na pai dawa-e-mohabbat
main tishna-labi ko liye muntazir hun
main sun lun KHudaya sada-e-mohabbat
adawat se duniya ko tum bhar rahe ho
to rasta kahan se ye pae mohabbat
mohabbat mohabbat mohabbat mohabbat
KHuda sab ko baKHshe shifa-e-mohabbat
jhulasne nahin degi 'fahmi' samajh lo
KHuda ki ata ye rida-e-mohabbat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.