kahan se laen hikayat-e-nau kahan hai naya
kahāñ se laa.eñ hikāyāt-e-nau kahāñ hai nayā
matā-e-zor-e-bayāñ hī se ye jahāñ hai nayā
ulajhtā rahtā hai kohna-nuqūsh-e-daurāñ se
mire vajūd meñ ik shaḳhs jo nihāñ hai nayā
abhī nuqūsh miTā.e haiñ dil ke patthar se
mirī jabīn pe phir zaḳhm kā nishāñ hai nayā
har ek shai pe vahī gard hai udāsī kī
tum aa ga.e ho to lagtā hai ye jahāñ hai nayā
kahan se laen hikayat-e-nau kahan hai naya
mata-e-zor-e-bayan hi se ye jahan hai naya
ulajhta rahta hai kohna-nuqush-e-dauran se
mere wajud mein ek shaKHs jo nihan hai naya
abhi nuqush miTae hain dil ke patthar se
meri jabin pe phir zaKHm ka nishan hai naya
har ek shai pe wahi gard hai udasi ki
tum aa gae ho to lagta hai ye jahan hai naya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.