kahan sukun hai duniya mein zindagi ke liye
kahāñ sukūn hai duniyā meñ zindagī ke liye
hazār ranj-o-masā.ib haiñ aadmī ke liye
use bhī kātib-e-taqdīr kā mazāq kaheñ
ki ġham kisī ke liye hai ḳhushī kisī ke liye
kisī kī bazm añdheroñ se āshnā bhī nahīñ
koī ġharīb tarastā hai raushnī ke liye
kahan sukun hai duniya mein zindagi ke liye
hazar ranj-o-masaib hain aadmi ke liye
use bhi katib-e-taqdir ka mazaq kahen
ki gham kisi ke liye hai KHushi kisi ke liye
kisi ki bazm andheron se aashna bhi nahin
koi gharib tarasta hai raushni ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.