kahan sunta hai wo rudad meri
kahāñ suntā hai vo rūdād merī
rahegī gūñjtī fariyād merī
sitāre Dhal rahe haiñ saath mere
kaTī ik aur shab barbād merī
maiñ ‘aql-e-nā-rasā kā kyā karūñgā
rahe dīvāngī ābād merī
bahut rusvā rahegā naam terā
sadā jab tak rahī āzād merī
yahāñ maiñ qātiloñ meñ ghir gayā huuñ
ḳhudāyā jald kar imdād merī
ye merī saltanat ye merī shāhī
yahīñ pe masnad-e-irshād merī
maiñ ruḳhsat ho rahā huuñ shahr-e-jāñ se
yahāñ rakkhī rahegī yaad merī
maiñ bujh kar raakh hotā jā rahā huuñ
sahar tak thī faqat mī'ād merī
shikasta hai tirī shamshīr lekin
jabīñ par ḳham nahīñ jallād merī
nahīñ 'hammād' maiñ is aa.ine meñ
koī tasvīr hai ham-zād merī
kahan sunta hai wo rudad meri
rahegi gunjti fariyaad meri
sitare Dhal rahe hain sath mere
kaTi ek aur shab barbaad meri
main ‘aql-e-na-rasa ka kya karunga
rahe diwangi aabaad meri
bahut ruswa rahega nam tera
sada jab tak rahi aazad meri
yahan main qatilon mein ghir gaya hun
KHudaya jald kar imdad meri
ye meri saltanat ye meri shahi
yahin pe masnad-e-irshad meri
main ruKHsat ho raha hun shahr-e-jaan se
yahan rakkhi rahegi yaad meri
main bujh kar rakh hota ja raha hun
sahar tak thi faqat mi'ad meri
shikasta hai teri shamshir lekin
jabin par KHam nahin jallad meri
nahin 'hammad' main is aaine mein
koi taswir hai ham-zad meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.