kahan tahriren maine banT di hain
kahāñ tahrīreñ maiñ ne baañT dī haiñ
hunar tadbīreñ maiñ ne baañT dī haiñ
tumhāre ḳhvāb ne tāḳhīr kar dī
sabhī ta.abīreñ maiñ ne baañT dī haiñ
likho ghar ke sabhī afrād meñ ab
mirī taqdīreñ maiñ ne baañT dī haiñ
ka.ī ġhazleñ tumhāre naam likkhīñ
baḌī jāgīreñ maiñ ne baañT dī haiñ
suno in gūñge-bahre bām-o-dar ko
ka.ī taqrīreñ maiñ ne baañT dī haiñ
mirī āñkheñ jinheñ mahfūz kartīñ
vo sab tasvīreñ maiñ ne baañT dī haiñ
mire qaidī mire alfāz 'hāmid'
suḳhan zanjīreñ maiñ ne baañT dī haiñ
kahan tahriren main ne banT di hain
hunar tadbiren main ne banT di hain
tumhaare KHwab ne taKHir kar di
sabhi tabiren main ne banT di hain
likho ghar ke sabhi afrad mein ab
meri taqdiren main ne banT di hain
kai ghazlen tumhaare nam likkhin
baDi jagiren main ne banT di hain
suno in gunge-bahre baam-o-dar ko
kai taqriren main ne banT di hain
meri aankhen jinhen mahfuz kartin
wo sab taswiren main ne banT di hain
mere qaidi mere alfaz 'hamid'
suKHan zanjiren main ne banT di hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.