kahan tak baDh gai hai baat likhna
kahāñ tak baḌh ga.ī hai baat likhnā
mire gaañv ke sab hālāt likhnā
javāñ beToñ kī lāshoñ ke alāva
milī hai kaun sī sauġhāt likhnā
koī sotā hai yā sab jāgte haiñ
vahāñ kaTtī hai kaise raat likhnā
lahū dhartī meñ kitnā bo chuke ho
na.ī fasloñ kī bhī auqāt likhnā
kahāñ jaltā rahā dhartī kā siina
kahāñ hotī rahī barsāt likhnā
hamārī sar-zamīñ kis rañg meñ hai
vahāñ bahte lahū kī zaat likhnā
maiñ chhup kar ghar meñ aanā chāhtā huuñ
lagī hai kis galī meñ ghaat likhnā
kahan tak baDh gai hai baat likhna
mere ganw ke sab haalat likhna
jawan beTon ki lashon ke alawa
mili hai kaun si saughat likhna
koi sota hai ya sab jagte hain
wahan kaTti hai kaise raat likhna
lahu dharti mein kitna bo chuke ho
nai faslon ki bhi auqat likhna
kahan jalta raha dharti ka sina
kahan hoti rahi barsat likhna
hamari sar-zamin kis rang mein hai
wahan bahte lahu ki zat likhna
main chhup kar ghar mein aana chahta hun
lagi hai kis gali mein ghat likhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.